Loading...

Friday, January 16, 2009

Yeh Kahan Aa Gaye Hum - Poetry is the best outlet to sadness inside

Contributed by S B BHINGARDE/SCFPLAB/MHSO/IOCL

Main aur mere Colleauges, aksar yeh baatein karte hain
revision hota to kaisa hota, hum yeh kehte, tum voh kehte
Tum is revision per khush hote, tum us nai pay slip dekh ke kitna hanste
revision hota to aisa hota, revision hota to vaisa hota
Main aur mere colleauges aksar yeh baatein karte hain

Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi strike karte karte,
abb baahon mein hai suspensions,
Mere jism-o-jaan hai rote'
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi hath mai abb katora lete' lete'

Yeh sarkar hai, inki neeyat dhamkiya se' bhari hui hai
yeah Pandey hai ya Ambani ka koi khabri,
oil co's ki maherbani se inki raate' saji huyi hai,
Yeh bureacrats hai ya mantriyo ke chamche
intellectuals hai ya 5wi fail ke baache'
officers ke pay raise ki demand hakikat hai,
ya bureacrats ke badan ki badboo
Yeh all india strike ka aasar hai, ya tumhari kurshi ka durr?
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nikameee ho, , kissi ke nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum imcompetent ho, kissi ke nahin ho

O, tu Oil Co ke CEO ho, hai main hoon ek officer,
Tu na ho to main kahan hoon

Mujse Kaam karane waale
Tu jahan hai main vahan hoon
Hamein milna hi tha suspensions,
Issi raah pe nikalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte...........

Mm, meri suspensions mai chamke,
tere nikamepan ki khusboo,
Teri terminations ek saboot hai
Koi Minister ka issara'
Koi aur bhi kaadam utthale'
bache offiers ko chunke chunke,
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

Majboor yeh haalat, idhar bhi hai udhar bhi hai,
depression ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi

Kehne ko bahut kuch hai, magar kis se kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum

Dil kehta hai Media ki har ek channel ko udda' de
Jooth jo media ney dee hai, ushe sath milker gira de

Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan yeah Media jooth hai, unpadh hai, be-khabar hai,
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi

Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi strike karte karte...

No comments:

Post a Comment

Friends! You are all welcome to comment.